Wednesday, January 25, 2012

aman ki chaadar....

Safed, khaamosh

Yeh aman ki chadar

Yehien hai, par gayi kahan…?


Dilun ko dhadkane wali

Aankhoun ko lubaane wali

Sardie ke mausam mein

Kashmir pe phelie

Yeh safed khaamosh

Barfeeli chaadar…


Ic mein daki hain

Dabi aanhe bhi

Un aman-pasand

insaanoun ki

Gin me kuch laapata

Kuch jalaaye watan…


Makaanoun ki chatoun se

latakti lambhi nokeeli

shishar-ghante jaise

saloun-saal

ankhoun se tapkte

munjmind aansoun…..


safed sun odan mein

kuch darkhtoun ki

tahaniyoun par

latakte patte

jaise bebas

zard chehre….


Kohre se lipte

Makanoun ke dareechoun par

Sar tikaye, aanhen barte,

Dam todti kashmiriyat ka

Maatam manaa rahe,

Chand buzarg log…..


Safed khaamosh

Yeh aman ki chadar

Yehien hai, par gayi kahan…?