Waqt hai jo bah`te paani
Kee tar`ah, bah`ta hai’
Mu`sal`sal chal`ta hai, guzar`ta hai;
Har shaam, har subah,
Har pal, har lamha jo hai,
Thaa mei badal jaata hai;
Laakh koshish kare koyi
Bandhe nahi band`ta, yeh
Tukad`un mein but jaata hai;
Mai`ne bhi kayi baar
donoun haath`oun se
Samat`ne kee koshish mein
Fisal`te dekhaa hai,
Boond - boond paani
Ungli`youn ke
beech`oun-beech
Aur
phir khaali haath;
Par kayi baar zindagi ne di`ye hain
Kuch lamhe jo bah`te waqt se
Churaa`ye hain mei`ne, jiye hain;
Jo aankhon se utaa`re hain
Dil se sanvaa`re hain, aur
Rouh mein basa`yein hain;
Aaj bhi kayi baar
Mein unhein jeeti huun`
Phir se khil utha`ti huun`…..
beautiful piece of writing mom :)beautiful piece of writing mom :) I love d way u put such simple things so beautifully :) I wish i could do d same :)) Love u loads :)
ReplyDelete"Maine bhi kayi baar dono haathon se samtane ki koshish mein phisalte dekha hai boond boond paani ungliyon ke beechon beech aur phir khaali haath..." I mean how do you do this?....Its beautiful!!! Simply loved it...simply love you:):)
ReplyDeleteWah! Veena di wah!-------bahut khoob--
ReplyDelete""Yun smaeet k waqt ko do misroon mai
Waqt ko waqt ki qeemat bata di"""
thank u all.... u all r my inspiration....
ReplyDelete@romaish pandita..wah bhai...do lines likh ke aap ne is ke naviyat hi badal di.... wonderful...
wow very beautiful :) just came across ur blog from Hemange.. on fb... great work :) keep writing..
ReplyDelete"पर कई बार ज़िन्दगी ने दिए हैं
ReplyDeleteकुछ लम्हे जो बहते वक़्त से
चुराए हैं मैंने, जिए हैं..."
बहुत खूब, उम्दा क़िस्म की शायरी। अन्दाज़े बयाँ और...
Its simply awsome.It is uncomparable!!
ReplyDeleteAfter reading it, i just feel :
Guzra hua waqt aur paani ki yun beh jaane vaali boondein.Samet kar hatheli mein thaamne ki ye koshish.Har lamhe mein sach hai fisalti ye zindagi unhe fir se jeena aur andhkaar mein yun roshni ki kiran har ek chiragh jaga nahi paata. Dua hai ki aap yun hi mashaal si roshan karti rahein ye raahein yun hi,kyuki bina roshni,maajhi bhi dishaheen hui naav paar laga nahi paata..!!
Bazar aur Bazarikaran ke beech yeh Jumley...
ReplyDeletemaine bhi wakt ki raftar ko thamte paya hai..
tum yoon hi jumloon ki zuban bante raho...
shayad ungliyoo ke beech,phir se,boond boond thahar jaye !
and yeah i loved the last para very very much :) its so beautiful :)
ReplyDeletethanks Mari, RK, Rohit, Chanda.... everyone for liking it and appreciating it....
ReplyDeletei feel elated and elevated to see the wonderful expressions that have followed....