Thursday, September 22, 2011
FIRAQ.....
aye baarish tu itnie baras
ki firaq-e-yaar dhul jaye
aye baarish tu itnie baras
ki dard-e-dil ghul jaye.........
tune har pate ko nikhaara hai
har chat tune bhigoya hai
patharoun ko tune taraasha hai
chataanoun ko pighlaaya hai....
merie bhie tu maseeha ban
kuch aisa hie waseela kar, ki
dhulie huie ek subh mile
dhulie shaam me din dhle.......
na aawaz ho kaanoun mein
na dastak ho darwaze pe
na aankhoun mein woh bassa rahe
na dil pe koyi khanjar chale.......
aye baarish tu itnie baras
ki firaq-e-yaar dhul jaye
aye baarish tu itnie baras
ki dard-e-dil ghul jaye....
Monday, September 5, 2011
baadal....
beechon - beech
utartaa baadal
lahraata hua, bal khaata hua
tarastie aankhoun se
neeche zamein ko
ghuurta hua
dheere se keh raha tha:
mein aasman se
nikal kar
pahadiyoun kie uunchaiyoun
ko chod kar
mandraata hun
phirtaa hun, bataktaa hun,
tumhaarie aur badataa hun.
tum khaamosh
mere awaarapan kaa
nazaaraa dekhtie ho, aur
phir taras khaa kar
'barso' tum kahtie ho.
pagaloun ke tarah
mein aapa kho detaa hun
gharajtaa hun, koundtaa hun
aur phir barastaa hun.
tumhaarie andhar kie aagh
bujhataa hun, tumhe sahlaata hun.
khud ko mitaataa hun, aur
tum mein simat jaata hun.
mein tum se pyaar kartaa hun......
khamooshi.......
yeh ruka sa sanaata,
koi hawa kaa joonkaa
na parinde ki aawaz.
ghaadiyou`n ke raftaar
na chalan`e ke aahat.
d`ate pahadou`n ke
uunchee khamooshi
bhare aasman ke
ph`ale tanhayee.
bus mein aur
mere ander yeh shor,
kaash ki thum jaye
in sub ke tarah....
Saturday, June 4, 2011
‘Doond lein….’
Barsoun se apne khoye
Bachpan ko doond rahi hun….
Unhi galiyoun mein kanhi
meri javaani bhi kho gayi hai…
Suna hai ujade huae us chaman mein
Ab bhi, kuch dilwale baste hain….
Kah do unhen
ki kisee jadiee ke peechay….
Ya phir kisi
Gulab kee kyari ke neeche….
hoga wahi kanhi
meraa bachpan….
Aur merie ghar kee
khidakee kie nouk pe….
Atakie hogie kahien
merie javaani bhi…..
Ho sake to zara sa dekh lein,
Doond lein…
Jo na pakad paye agar
To mukhatib ho ke kahien ….
Kah de mere bachpan se
Ya phir mere javani se….
doud ke aye
jee han, lout ke aye….
Ki mein behataash
jeena cha`hti hun ….
Mein phir se
udna cha`htee hun….
Saturday, May 28, 2011
waqt.....
Waqt hai jo bah`te paani
Kee tar`ah, bah`ta hai’
Mu`sal`sal chal`ta hai, guzar`ta hai;
Har shaam, har subah,
Har pal, har lamha jo hai,
Thaa mei badal jaata hai;
Laakh koshish kare koyi
Bandhe nahi band`ta, yeh
Tukad`un mein but jaata hai;
Mai`ne bhi kayi baar
donoun haath`oun se
Samat`ne kee koshish mein
Fisal`te dekhaa hai,
Boond - boond paani
Ungli`youn ke
beech`oun-beech
Aur
phir khaali haath;
Par kayi baar zindagi ne di`ye hain
Kuch lamhe jo bah`te waqt se
Churaa`ye hain mei`ne, jiye hain;
Jo aankhon se utaa`re hain
Dil se sanvaa`re hain, aur
Rouh mein basa`yein hain;
Aaj bhi kayi baar
Mein unhein jeeti huun`
Phir se khil utha`ti huun`…..