Saturday, May 28, 2011

waqt.....

Waqt hai jo bah`te paani

Kee tar`ah, bah`ta hai’

Mu`sal`sal chal`ta hai, guzar`ta hai;

Har shaam, har subah,

Har pal, har lamha jo hai,

Thaa mei badal jaata hai;

Laakh koshish kare koyi

Bandhe nahi band`ta, yeh

Tukad`un mein but jaata hai;


Mai`ne bhi kayi baar

donoun haath`oun se

Samat`ne kee koshish mein

Fisal`te dekhaa hai,

Boond - boond paani

Ungli`youn ke

beech`oun-beech

Aur

phir khaali haath;


Par kayi baar zindagi ne di`ye hain

Kuch lamhe jo bah`te waqt se

Churaa`ye hain mei`ne, jiye hain;

Jo aankhon se utaa`re hain

Dil se sanvaa`re hain, aur

Rouh mein basa`yein hain;

Aaj bhi kayi baar

Mein unhein jeeti huun`

Phir se khil utha`ti huun`…..

10 comments:

  1. beautiful piece of writing mom :)beautiful piece of writing mom :) I love d way u put such simple things so beautifully :) I wish i could do d same :)) Love u loads :)

    ReplyDelete
  2. "Maine bhi kayi baar dono haathon se samtane ki koshish mein phisalte dekha hai boond boond paani ungliyon ke beechon beech aur phir khaali haath..." I mean how do you do this?....Its beautiful!!! Simply loved it...simply love you:):)

    ReplyDelete
  3. Wah! Veena di wah!-------bahut khoob--
    ""Yun smaeet k waqt ko do misroon mai
    Waqt ko waqt ki qeemat bata di"""

    ReplyDelete
  4. thank u all.... u all r my inspiration....
    @romaish pandita..wah bhai...do lines likh ke aap ne is ke naviyat hi badal di.... wonderful...

    ReplyDelete
  5. wow very beautiful :) just came across ur blog from Hemange.. on fb... great work :) keep writing..

    ReplyDelete
  6. "पर कई बार ज़िन्दगी ने दिए हैं
    कुछ लम्हे जो बहते वक़्त से
    चुराए हैं मैंने, जिए हैं..."
    बहुत खूब, उम्दा क़िस्म की शायरी। अन्दाज़े बयाँ और...

    ReplyDelete
  7. Its simply awsome.It is uncomparable!!
    After reading it, i just feel :

    Guzra hua waqt aur paani ki yun beh jaane vaali boondein.Samet kar hatheli mein thaamne ki ye koshish.Har lamhe mein sach hai fisalti ye zindagi unhe fir se jeena aur andhkaar mein yun roshni ki kiran har ek chiragh jaga nahi paata. Dua hai ki aap yun hi mashaal si roshan karti rahein ye raahein yun hi,kyuki bina roshni,maajhi bhi dishaheen hui naav paar laga nahi paata..!!

    ReplyDelete
  8. Bazar aur Bazarikaran ke beech yeh Jumley...

    maine bhi wakt ki raftar ko thamte paya hai..

    tum yoon hi jumloon ki zuban bante raho...

    shayad ungliyoo ke beech,phir se,boond boond thahar jaye !

    ReplyDelete
  9. and yeah i loved the last para very very much :) its so beautiful :)

    ReplyDelete
  10. thanks Mari, RK, Rohit, Chanda.... everyone for liking it and appreciating it....
    i feel elated and elevated to see the wonderful expressions that have followed....

    ReplyDelete